Jis Simt Bhi Dekhoon, Nazar Aata Hai Keh Tum Ho
Aie Jaan-E-Jahaan Yeh Koi Saaya Hai Keh Tum Ho
Yeh Khuwaab Hai, Khushboo Hai, Ke Jhonka Hai, Ke Pal Hai
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, Ke Saaya Hai, Keh Tum Ho
Is Deed Ki Saa'at Main Kayee Rung Hain Larzaan
Main Hoon Ke Koi Aur Hai, Duniya Hai, Keh Tum Ho
Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka Chehra Hai Keh Tum Ho
Yeh Umr Garezaan Kahin Theray To Yeh Jaanoon
Her Saans Mein Mujh Ko Yehi Lagtaa Hai Keh Tum Ho
Her Bazm Mein Mozoo-E-Sukhan Dil-E-Zadgaan Ka
Ab Kaun Hai Sheereen Keh Laila Hai Keh Tum Ho
Ek Dard Ka Phaila Hua Sehra Hai Ke Main Hoon
Ek Mauj Mein Aaya Hua Darya Hai Keh Tum Ho
Woh Waqt Na Aaye Ke Dil-E-Zaar Bhi Sochay
Is Shehr Mein Tanha Koi Tum Sa Hai Keh Tum Ho
Aabaad Hum Aashufta Saron Se Nahin Maqtal
Yeh Rasm Abhi Shehr Mein Zinda Hai Keh Tum Ho
Aie Jaan-E-Faraaz Itni Bhi Taufeeq Kise Thee
Hum Ko Ghame Hasti Bhi Gawaraah Hai Keh Tum Ho
No comments:
Post a Comment