Zubaan rakhta hun lekin chup khada hun,
main aawaazon ke ban mein ghir gaya hun.
main aawaazon ke ban mein ghir gaya hun.
Mere ghar ka daricha puchhta hai,
main sara din kahan phirta raha hun.
main sara din kahan phirta raha hun.
Mujhe mere siwa sab log samjhe,
main apne aap se kam bolta hun.
main apne aap se kam bolta hun.
Sitaaron se intehaa ki hasad hai,
main qabaron par charaagan kar raha hun.
main qabaron par charaagan kar raha hun.
Sambhal kar ab hawaaon se uljhna,
main tujh se peshtar bujhne laga hun.
main tujh se peshtar bujhne laga hun.
Meri qurbat se kyon khaaif* hai duniya,
samandar hun main khud mein gunjta raha hun.
samandar hun main khud mein gunjta raha hun.
Mujhe kab tak sametega woh ‘Mohsin
main andar se bahut toota hua hun. !!
main andar se bahut toota hua hun. !!
No comments:
Post a Comment